umr guzri rahguzar ke aas-pas

umr guzri rahguzar ke aas-pas
raqs karte us nazar ke aas-pas

zulf khulti hai to uthta hai dhuan
aabshaar-e-chashm-e-tar ke aas-pas

kaundti hain bijliyan barsat mein
tair-e-be-baal-o-par ke aas-pas

raat bhar aawara patte aur hawa
raqs karte hain shajar ke aas-pas

chhod aaya hun mata-e-jaan kahin
ghaaliban us rahguzar ke aas-pas

baal bikhrae ye budhi chandni
dhundti hai kya khandar ke aas-pas

is gali mein ek ladka aaj bhi
ghumta rahta hai ghar ke aas-pas

ek surat-ashna sae ki dhup
pad rahi hai baam-o-dar ke aas-pas

kaise pur-asrar chehre hain 'rasa'
khwab-gah-e-shisha-gar ke aas-pas


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close