mohtaram nek dil khush khisal aadmi ab nazar aate hain khal-khal aadmi hai yahi daur-e-qaht-ur-rijal aadmi kab dikhaenge apna kamal aadmi ja ba ja zalimon ka tasallut hai kyon aadmi ka hai tujh se sawal aadmi shad-o-abaad rahne se qasir hain ye kyon tabahi ke bunte hain jal aadmi khoi insaniyat se hain mahrum ab roz karte hain jang-o-jidal aadmi nafs-e-ammara ne aisa be-his kiya aadmi ki na ban pae dhaal aadmi ye sifat mein taghayyur ke asbab hain kha rahe hain haram-o-halal aadmi dil ka aaina ab in ka chehra nahin aap apne hain ab yarghamal aadmi tha sarokar sidq-o-safa se inhen aaj karte hain bas qil-o-qal aadmi ye mere ahd-e-bad-bakht ki baat hai aadmi ki hi khinche hai khaal aadmi qabr mein bhi to ghaarat-gar-e-amn hain kar ke jae kahan intiqal aadmi sher bhi 'sarfaraaz' us ke hain munfarid shan ye hai ki hai be-misal aadmi