wo ghadi dil pe thi qayamat ki jab teri chahaton ne hijrat ki kya koi husn ka sahifa tha aankh ne der tak tilawat ki aur shiddat se yaad aaya wo jab use bhulne ki jurat ki dil jalao agar charagh bujhen raushni kam na ho mohabbat ki mangti hai lahu ke nazrane hum se har int is imarat ki us ne ki mujh ko sabr ki talqin di dua main ne istaqamat ki qatl-khanon mein ji rahe hain hum dad dije hamari himmat ki dekh tiron se phul chhalni hain koi had hoti hai adawat ki qasr-e-firaunn mein pal rahe hain kalim kya ajab shan hai mashiyyat ki bujh chali shama-e-bazm-e-naw-nosh sar pe tayyariyan hain rehlat ki dard jab had se badh gaya 'bazmi' dard se dard ki shikayat ki