pahle mere panw mein zanjir-e-isyan dekhiye

pahle mere panw mein zanjir-e-isyan dekhiye
phir tamasha-e-tilism-e-bazm-e-imkan dekhiye

khun-e-dil khun-e-jigar ka naqsh-e-uryan dekhiye
apne munh se kya kahun rang-e-gulistan dekhiye

aur sab kuchh hai yahan insaniyat mafqud hai
ab tasawwur mein faqat insan ko insan dekhiye

tur ho ya arsh donon hi dil-e-insan mein hain
us ko apni zat mein nazd-e-rag-e-jaan dekhiye

chand par dale kamanden aur khud se be-khabar
dekhiye kotahi-e-idrak-e-insan dekhiye

aag mein gir jaiye mohkam agar iman hai
aur phir shoalon mein andaz-e-gulistan dekhiye

be-kasi mein tarjuman-e-haal-e-dil hota hai gham
meri khamoshi hai afsane ka unwan dekhiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close