mubtala khud ko kisi gham mein musalsal rakhna aur us gham ko teri aankh se ojhal rakhna chand khidki mein kabhi dhup mein baadal rakhna dhyan rakhna jo kisi ka to har ek pal rakhna chalna sikha hi nahin rah se hat kar hum ne ek qadam us ki taraf ek su-e-maqtal rakhna dekhna mand na pad jaen gham-e-hijr mein ye tum shab-e-wasl ka in aankhon mein kajal rakhna ek zara baat se is jaan pe ban aati thi ras aaya bhi to gham se ise bojhal rakhna jis ko kahna tha usi ko nahin kahna aur phir kaise andeshon mein khud ko yunhi pagal rakhna aisa lagna ki ye aankhen to barasti hi nahin sail-e-gham se magar andar koi jal-thal rakhna hum to is arsa-e-hasti mein jhulaste hi rahe na hua dhup mein ek khwab ka baadal rakhna