sab thath ye ek bund se qudrat ki bana hai yan aur kisi ki na mani hai na mana hai bil-farz agar hum hue hawwa ke shikam se aadam ke tain dekhiye wo kis ka jana hai yan log dulhan dulha ke qisse mein phanse hain wan aur bunat hai na bani hai na bana hai hikmat ka ulat-pher nahin jin ki nazar mein wo kahte hain ghafil ye baqa hai ye fana hai le arsh se ta-farsh jo raushan hai tilismat ye nur sab us nur ki chhalni se chhana hai hum kachche se kachcha ise samjhe hain wagarna us deg ke chawal mein kani hai na kana hai milna bhi gharaz ka hai ladai bhi gharaz ki nahin aur kisi se koi rutha na mana hai hajat na bar aai to wahin karne lage hajw aur ho gaya matlab to hain wasf-o-sana hai yabis kahin martub kahin garm kahin sard misri mein kahin zahr halahil mein sana hai ek is ki dawa samjhi nahin jati 'nazir' aah kuchh zor hi majun ka nuskha ye bana hai