mue sahte sahte jafa-kariyan koi hum se sikhe wafadariyan hamari to guzri isi taur umr yahi nala karna yahi zariyan farishta jahan kaam karta na tha meri aah ne barchhiyan mariyan gaya jaan se ek jahan le ke shokh na tujh se gain ye dil-azariyan kahan tak ye taklif-e-ma la-yutaq huin muddaton naz-bardariyan khat-o-kakul-o-zulf-o-andaz-o-naz huin dam-e-rah sad-giraftariyan kiya dard-o-gham ne mujhe na-umid ki majnun ko ye hi thin bimariyan teri aashnai se hi had hui bahut ki thin duniya mein hum yariyan na bhai hamari to qudrat nahin khinchin 'mir' tujh se hi ye khwariyan