tum garm mile hum se na sarma ke dinon mein pesh aae ba-garmi bhi to garma ke dinon mein jab aai khizan hum ko kaha bagh chalo ho puchha na kabhi sair o tamasha ke dinon mein ne ghurfe se jhanka na kabhi baam par aae pinhan rahe tum husn-e-dil-ara ke dinon mein ji hi mein rakhi apne miyan ji se jo upji kuchh hum ne kaha tum se tamanna ke dinon mein likh likh ke use yaron ne diwan banaya kuchh kuchh jo baka karte the sauda ke dinon mein dil apna ulajhta tha tabhi jin dinon pyare thi zulf teri turra-e-laila ke dinon mein muflis hue ai 'mushafi' afsos ki hum ne paida na kiya yar ko paida ke dinon mein