rahat-e-jaan se to ye dil ka wabaal achchha hai us ne puchha to hai itna tera haal achchha hai mah achchha hai bahut hi na ye sal achchha hai phir bhi har ek se kahta hun ki haal achchha hai tere aane se koi hosh rahe ya na rahe ab talak to tere bimar ka haal achchha hai ye bhi mumkin hai teri baat hi ban jae koi use de de koi achchhi si misal achchha hai daen rukhsar pe aatish ki chamak wajh-e-jamal baen rukhsar ki aaghosh mein khal achchha hai aao phir dil ke samundar ki taraf laut chalen wahi pani wahi machhli wahi jal achchha hai koi dinar na dirham na riyal achchha hai jo zarurat mein ho maujud wo mal achchha hai kyun parakhte ho sawalon se jawabon ko 'adim' hont achchhe hon to samjho ki sawal achchha hai