udhar saba ne khabar di aa kar ki aaj abr-e-bahaar aaya idhar gareban siye hue main chaman mein diwana-war aaya dua hai apni yahi shab-e-gham na ho kabhi iztirab-e-dil kam ye zindagi zindagi kahan phir jo dil ko apne qarar aaya gila sitam ka jafa ka shikwa zaban pe aaya tumhin kaho kab ye kyun hai phir hum se sargirani ye dil mein kaise ghubar aaya sukun ho kis tarah mayassar nasib ho chain kaise aakhir na maut aai mariz-e-gham ko na wo shab-e-intizar aaya na jaane kyun josh-e-girya ab ke bajae ghatne ke badh raha hai wagarna mahfil se yun to teri main barha ashk-bar aaya