pahla patthar yaad hamesha rahta hai dukh se dil aabaad hamesha rahta hai pas rahen ya dur magar un aaankhon mein mausam-e-abr-o-baad hamesha rahta hai qaid ki khwahish us ka dukh ban jati hai jo panchhi aazad hamesha rahta hai ek gul-e-be-mehr khilane ki khatir qarya-e-dil barbaad hamesha rahta hai is ke liye main kya kya swang rachata hun wo phir bhi nashad hamesha rahta hai panw thamen to kaise 'sabir' apne sath ek safar ijad hamesha rahta hai