tu payambar sahi ye moajiza kafi to nahin shairi zist ke zakhmon ki talafi to nahin saya-e-gul mein zara der jo sustae hain saya-e-dar se ye wada-khilafi to nahin apni duniya se mili fursat-e-yak-jast hamein aasman ke liye ek jast hi kafi to nahin kisi chadhte hue suraj ki parastish na karo dekh lo is mein koi shoabada-bafi to nahin tishnagi hum ko mili tum hue sairab to kya in muqaddar ki sazaon se muafi to nahin dew-mala ka dhundlaka ho ki khwabon ki kiran aaj ki aaina-sazi ki munafi to nahin khwab takrao haqiqat se ki shoale niklen is andhere mein diya ek hi kafi to nahin