na bhulna mujhe dil se meri khabar lena jo yaad aaun kabhi main to yaad kar lena hue hain khabt mein kya mubtala tere aashiq zarur kya hai ki dil de ke dard-e-sar lena wo sab se kahne lage tak kar mere dil ko kisi tarah bhi hai lena ise magar lena shab-e-visal ki wo sharm yaad aati hai haya se munh pe dupatte ko apne dhar lena unhen mana ke khushamad se iltijaon se kisi tarah se jawab ai payambar lena wo aa ke lete jo pahlu mein mere wasl ki shab kaha ye dil ne mere khwab raat bhar lena hamare dil ke kharidar aur bhi hain bahut na der kijiye manzur hai agar lena jise wo chahen badhaen jise wo chahen ghataen ye un ka khel hai dushman ko dost kar lena dikha dikha ke na tum aur mujh ko tarsao main mar gaya to mere baad ban sanwar lena mila ke khak mein dil ko wo mere kahte hain ye jis qadar hua nuqsan hum se bhar lena jo tum mein hai ye kamal aur ko nasib kahan dikha ke jalwa har ek ko ghulam kar lena hua jo qat-e-talluq to kya gharaz us se na aap 'ranj' ka ab nam umr bhar lena