nam tera bhi rahega na sitamgar baqi jab hai firaun na changez ka lashkar baqi apne chehron ko siyahi mein chhupane walo nok-e-neza pe hai suraj sa koi sar baqi tere wirse pe hain ghasib ki uqabi nazren ghaflaton se nahin rahte ye jawahar baqi ek sadaf sath-e-samandar pe baha jata hai aur sahil pe nahin ek shanawar baqi ek saf hon to banen sisa pilai diwar hon adu ke liye rahen na kahin dar baqi qadr kam hoti hai taqsim jo hota hai adu hasil-e-jama mein barakat hai barabar baqi jal phir laya hai sayyaad phansane ke liye mil ke ud jaen parinde na rahe dar baqi zulm se sar ko na takraen to phir sajda karen han pata hai ki dar hoga na kahin sar baqi hum shahidon ko kabhi murda nahin kahte 'anis' rizq jannat mein mile shan yahan par baqi