mujh pe to gire khanjar tum lahu lahu kyon ho zakhmi mere baal-o-par tum lahu lahu kyun ho tum ko to mile tamghe zohd-o-parsai ke sang to pade mujh par tum lahu lahu kyon ho dil ke chaak main apne ek bhi na sil pai hain tumhaare chaaragar tum lahu lahu kyun ho tum ko to mila rutba sar ke taj hone ka zer-e-pa hai mera sar tum lahu lahu kyon ho yun to mutmain hun main be-wafa tumhein phir bhi sochti hun ye aksar tum lahu lahu lahu kyun ho rang gul saba 'nikhat' sab tumhaare hisse mein khar hain mera zewar tum lahu lahu kyon ho