tanhai mein aksar yahi mahsus hua hai

tanhai mein aksar yahi mahsus hua hai
jis tarah koi meri taraf dekh raha hai

dhunda koi sathi jo kabhi dasht-e-wafa mein
ek apna hi saya mujhe har bar mila hai

sine mein hai mahfuz mata-e-gham-e-dauran
dibacha-e-ayyam mere dil pe likha hai

aahat si shab-e-gham jo tujhe di hai sunai
ai dil wo tere apne dhadakne ki sada hai

ho khair charaghan-e-sar-e-rahguzar ki
sunte hain bahut tez zamane ki hawa hai

yak-rang kahan hoti hai insan ki fitrat
har phul ki khushbu hai alag rang juda hai

maghrur na ho husn pe a sham-e-farozan
parwane ki aankhon mein koi aur ziya hai

nind aati hai yazdani-e-muztar ko sakun se
ye maut hai ya dost ke daman ki hawa hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close