mujh sin gham dast-o-gareban na hua tha so hua chaak sine ka numayan na hua tha so hua ab talak mujh kun kisi shakhs ke chehra ka khayal surat-e-aina-e-jaan na hua tha so hua saf-e-ushshaq mein koi sani-e-majnun mujh sa wahshi-e-koh-o-bayaban na hua tha so hua ashk ole ho baraste hain mere daman mein ye waraq nuqra-e-afshan na hua tha so hua khanjar-e-ishq ne ehsan kiya sar pe mere jaan kandan kabhi aasan na hua tha so hua qibla-ru rahm kiya mujh pe khat-aghazi mein kafir-e-hind musalman na hua tha so hua aah-e-sozan sin mere daman-e-sahra mein 'siraj' qabr-e-majnun pe charaghan na hua tha so hua