saf baaton mein to kudurat hai aur lagawat se zahir ulfat hai ghair se bhi kabhi to bigdegi ruthna to tumhaari aadat hai aap ke lutf mein to shak hi nahin dil ko kis baat ki shikayat hai us sitamgar se shikwa kaise ho aur ulti mujhe nadamat hai bole dikhla ke aaina shab-e-wasl dekhiye to yahi wo surat hai maut ko bhi nazar nahin aata na-tawani nahin qayamat hai kuchh kaha hoga us ne bhi qasid kuchh na kuchh teri bhi shararat hai kaho sab kuchh na ruthne ki kaho ye hi kahna tumhaara aafat hai wah kya teri shairi hai 'nizam' kya fasahat hai kya balaghat hai