patjhad ka mausam tha lekin shakh pe tanha phul khila tha jis ko hum patthar samjhe the chashme jaisa phut baha tha ab to aankhen pap bhari hain ek samay yaro aisa tha agle ghar ki chhat ke pichhe chand bahut pyara lagta tha nang-dhadang ek nanha-munna pichhe pichhe daud raha tha aage udne wale waqt ne pal-bhar ko mud kar dekha tha phulon wale tarkash ke ek tir ne meri aankhen le lin aur jis ne chilla khincha tha wo bhi ek andha ladka tha ghar se niklo dhup mein baitho dekho us pipal ka saya jis ke niche tum aisa ek bhola bachcha khel raha tha jo pagal aurat parson tak ek gudiya nocha karti thi kal us ki jhilmil chunari mein ek matiyala gudda sa tha yun to hari-bhari rahon mein roz naya mela lagta hai jab main ghar se nikla ya to main tha ya mera saya tha main samjha tha mere sar aur zakhm ki nisbat pur-mani hai aur koi tha jis ki khatir bachchon ne patthar phenka tha ashk' ek muddat tak gum-sum se ped ne rim-jhim barkha jheli aag lagi to chingari ke chaaron or dhuan phaila tha