zinda hain mere khwab ye kab yaad hai mujh ko han tark-e-mohabbat ka sabab yaad hai mujh ko tafsil-e-inayat to ab yaad nahin hai par pahli mulaqat ki shab yaad hai mujh ko khushbu ki rifaqat ka nasha tut raha hai lekin wo safar dad-talab yaad hai mujh ko ab sham ke hathon jo giraftar hai suraj dopahar mein tha qahr-o-ghazab yaad hai mujh ko aiwan meri ruh ke raushan kiye jis ne wo shokhi-e-yak-jumbish-e-lab yaad hai mujh ko kuchh din se muqayyad hun main virana-e-jaan mein haalanki koi shahr-e-tarab yaad hai mujh ko kyun yaad dilate ho mujhe chandni raaten paiman-e-wafa tum se hai sab yaad hai mujh ko wo shakhs 'khayal' aaj jo ru-posh hai mujh mein the us mein kamalat ajab yaad hai mujh ko