mujh se ruthi meri taqdir thi wo aaj bhi hai aah begana-e-tasir thi wo aaj bhi hai aap ki chashm-e-inayat ke tasarruf ki qasam bazm ki bazm jo dil-gir thi wo aaj bhi hai inqilabaat ki yurish hai ilahi tauba dil mein ek hasrat-e-tamir thi wo aaj bhi hai wusat-e-khwab-e-azal itni samajh mein aai raushni koshish-e-tabir thi wo aaj bhi hai is taghayyur ke is andaz-e-rihai ke nisar apne pairon mein jo zanjir thi wo aaj bhi hai