phir hum ko ehtiyat se chalna bhi aa gaya thokar lagi gire to sambhalna bhi aa gaya sahme hue hain kachche makanon ke baam-o-dar ab ganw ki nadi ko ubalna bhi aa gaya angdai li chaman mein jo fasl-e-bahaar ne sukhe shajar ko phulna-phalna bhi aa gaya dala gaya jo tel to lau tez ho gai bujhte hue charagh ko jalna bhi aa gaya ghar laute hum safar se khilaune liye hue bachchon ko ab khushi se uchhalna bhi aa gaya thi muddaton jo chhai hui mujh pe be-hisi dekha tumhein to dil ko machalna bhi aa gaya 'sabir' mere liye the jo dushwar raste un raston pe ab mujhe chalna bhi aa gaya