mujhe bhula ke mujhe yaad bhi rakha tu ne ye kaisa dawa-e-dushwar phir kiya tu ne hawa ne apne liye nam kuchh rakhe honge thakan se puchh liya ghar ka rasta tu ne hazar ki ab mere hathon mein muddaa bhi nahin kiya hai laila-e-khwahish ko be-ada tu ne ye kaun teri tarah meri aankh mein chamka jalai kaisi ye qindil-e-bad-dua tu ne nigah-e-shab tere aangan mein khwab dhundhe thi ye ab ke zakhm bhi kaisa diya naya tu ne tujhe mere liye nindon ke phul lane the ye kaisa aankhon ko bakhsha hai ratjaga tu ne libas badli hui raunaqon ke achchhe the magar ye dil ki rakha hausla-qaba tu ne qadam ukhad se gae the bajae ham-safari hawa ko odh ke dekha tha bar-ha tu ne rahi gurez ki tah-damani se bargashta mujhe diya tha wo sauda-e-hausla tu ne