na kuchh aalim samajhte hain na kuchh jahil samajhte hain mohabbat ki haqiqat ko bas ahl-e-dil samajhte hain nishan-e-manzil-e-maqsud pa kar bhi na jo thahre usi rahraw ko hum aasuda-e-manzil samajhte hain tere sahra-nawardon ka mazaq-e-justuju tauba ghubar-e-rah ko ye parda-e-mahmil samajhte hain tumhin se hai ye nur-e-shama aur ye soz-e-parwana tumhin ko ahl-e-mahfil raunaq-e-mahfil samajhte hain na duniya bais-e-ghaflat na uqba wajh-e-hushyari rahe jo tujh se ghafil hum use ghafil samajhte hain yahan to qabil-e-afsos hain dushwariyan un ki tumhaari rah mein mushkil ko jo mushkil samajhte hain unhin ko tere tir-e-nim-kash ka lutf aata hai na sine ko jo sina aur na dil ko dil samajhte hain gul-e-maqsud se phir kyun use wo bhar nahin dete mere daman ko jab wo kasa-e-sail samajhte hain koi samjhe na samjhe is haqiqat ko magar 'najmi' hum apne dard-e-dil ko ishq ka hasil samajhte hain