mujhe dair se talluq na haram se aashnai kahin qashqa-e-numaish kahin sajda-e-riyai kisi jeb-e-dil mein dekhi na mata-e-ishq main ne mere shahr mein luta do mera dard-e-be-nawai mere dil ke aaine ko na shikasta kar khuda-ra ki udas ho na jae tera husn-e-khud-numai koi kab pahunch saka hai tere gham ki sarhadon tak wahi karwan ki manzil jo meri shikasta-pai mere harf-e-sad-tamanna se khila to koi ghuncha main nisar-e-yak-tabassum ki hui to lab-kushai meri ghurbat-e-sahar ka na thaka ghurur warna main chaman se mang leta koi sham-e-be-hayai na 'shamim' naz karna ki atiya-e-junun hai ye tera tarannum-e-gham ye teri ghazal-sarai