sahra o shahr sab se aazad ho raha hun

sahra o shahr sab se aazad ho raha hun
apne kahe kinare aabaad ho raha hun

ya husn badh gaya hai had se ziyaada us ka
ya main hi apne fan mein ustad ho raha hun

is bar dil ke raste hamla karegi duniya
sarhad bana raha hun faulad ho raha hun

chaalak kam nahin hai mahbub hai jo mera
main bhi sambhal sambhal kar farhad ho raha hun

ruh o badan barabar lafzon mein dhal rahe hain
ek tajrabe se main bhi ijad ho raha hun

thoda bahut mujhe bhi sunne lagi hai duniya
teri zaban se shayad irshad ho raha hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close