mujhe dubo ke bahut sharmsar rahti hai wo ek mauj jo dariya ke par rahti hai hamare taq bhi be-zar hain ujalon se diye ki lau bhi hawa par sawar rahti hai phir us ke baad wahi basi manzaron ke julus bahaar chand hi lamhe bahaar rahti hai isi se qarz chukae hain main ne sadiyon ke ye zindagi jo hamesha udhaar rahti hai hamari shahr ke danishwaron se yari hai isi liye to qaba tar tar rahti hai mujhe kharidne walo qatar mein aao wo chiz hun jo pas-e-ishtihaar rahti hai