dariya o koh o dasht o hawa arz aur sama dekha to har makan mein wahi hai raha sama hai kaun si wo chashm nahin jis mein us ka nur hai kaun sa wo dil ki nahin jis mein us ki ja qumri usi ki yaad mein ku-ku kare hai yar bulbul usi ke shauq mein karti hai chahchaha muflis kahin gharib tawangar kahin ghani aajiz kahin nibal kahin sultan kahin gada bahrup sa bana ke har ek ja wo aan aan kis kis tarah ke rup badalta hai wah-wa mulk-e-raza mein kar ke tawakkul ki jins ko baithen hain sab isi ki dukanen laga laga sab ka isi dukan se jari hai karobar leta hai koi husn koi dil hai bechta dekha jo khub ghaur se hum ne to yan 'nazir' bazar-e-mustafa hai kharidar hai khuda