tujhe hai shauq-e-zaban par jo qand rakhne ka de ikhtiyar mujhe bhi pasand rakhne ka pukarti hain mere dil ki pastiyan mujh ko yahi to waqt hai rutba buland rakhne ka isi jihad mein guzri hai zindagi apni kiya hai roz irada samand rakhne ka buland mekh se khwabon ki rassiyan bandho diya hai raat ne mauqa kamand rakhne ka hamin se husn ko hai aas dad pane ki hamin ko hukm hai aankhon ko band rakhne ka sabhi ghamon ka uthata hun kharch mein 'rahat' ajab sila hai dil-e-dard-mand rakhne ka