mujhe gharaz hai meri jaan ghul machane se na tere aane se matlab na tere jaane se ajib hai meri fitrat ki aaj hi maslan mujhe sukun mila hai tere na aane se ek ijtihad ka pahlu zarur hai tujh mein khushi hui tere na-waqt muskurane se ye mera josh-e-mohabbat faqat ibarat hai tumhaari champai ranon ko noch khane se mohazzab aadmi patlun ke batan to laga ki irtiqa hai ibarat batan lagane se