raste ki dhul ne pairon ko zakhmi kar diya bahr se mahi alag karna mujhe aata nahin baith jaun do ghadi aaram se yaro kahin zindagi ke dasht mein aisa koi saya nahin khwab sa sundar badan tha bistar-e-kamkhab par raat bhar phir bhi mere dil ne sukun paya nahin chha gai hai khamushi ki barf mere zehn par kalpana ke desh mein suraj kabhi marta nahin narm jismon ki khushi aankhon mein bhar kar raat ko sabza-e-khud-rau pe 'akhtar' main kabhi soya nahin