mujhe is shahr ki aab-o-hawa achchhi nahin lagti

mujhe is shahr ki aab-o-hawa achchhi nahin lagti
musalsal khud-farebi ki qaba achchhi nahin lagti

ilahi ye maraz kaisa laga mujh ko na jaane kyon
dua achchhi nahin lagti dawa achchhi nahin lagti

khushi ki bhi khabar se ab to dilchaspi nahin mujh ko
ki ab ai zindagi tujh se wafa achchhi nahin lagti

jahan ke samne hum ko na tum pahchan pate ho
tumhaari ye ada hum ko zara achchhi nahin lagti

main aisi bazm-e-shor-o-ghul se nikla hun ki ab mujh ko
koi aahat kisi ki bhi sada achchhi nahin lagti

main kahna chahta hun un se lekin kah nahin pata
ki mujh ko un ki khu un ki ana achchhi nahin lagti

duaen aur fariyaaden falak se laut aati hain
khuda ko ghaaliban meri raza achchhi nahin lagti

tu kyon kahta hai sajdon mein mujhe rab umr lambi de
mujhe tere labon par ye dua achchhi nahin lagti

kabhi teri sabhi nadaniyon par jaan dete the
magar ab to teri koi khata achchhi nahin lagti

mujhe tum chhod do is haal par ye haal achchha hai
padi hai dard ki khu ab shifa achchhi nahin lagti

ujalon se to ab 'afrang' kya ummid kijega
magar ye tirgi hum se khafa achchhi nahin lagti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close