sahn-e-chaman hai gosha-e-zindan tere baghair mamura-e-hayat hai viran tere baghair chhup chhup ke jis ko dekhne aata tha mahtab zulmat-kada hai ab wo shabistan tere baghair jalta hai chaarasaz ki nadaniyon pe ji main aur mere dard ka darman tere baghair soti hain is mein kitni umiden fana ki nind sina hai ek shahr-e-khamoshan tere baghair meri hansi ki thi tera sarmaya-e-nashat aa dekh ab hai khanda-e-giryan tere baghair mahtab ke hujum mein gum ho gai thi raat phir qahr ban gaya gham-e-dauran tere baghair jalta hai tez tez tadapta hai pai-ba-pai dil hai ki ek shola-e-larzan tere baghair main hech hun magar mujhe itna subuk na kar main aur nashat-e-zist ka arman tere baghair jis zindagi ko tu ne banaya tha zindagi wo zindagi hai khwab-e-pareshan tere baghair