mujhe is ka koi gila nahin ki bahaar ne mujhe kya diya teri aarzu to nikal di tera hausla to badha diya go sitam ne tere har ek tarah mujhe na-umid bana diya ye meri wafa ka kamal hai ki nibah kar ke dikha diya koi bazm ho koi anjuman ye shiar apna qadim hai jahan raushni ki kami mili wahin ek charagh jala diya tujhe ab bhi mere khulus ka na yaqin aae to kya karun tere gesuon ko sanwar kar tujhe aaina bhi dikha diya meri shairi mein tere siwa koi majra hai na muddaa jo teri nazar ka fasana tha wo meri ghazal ne suna diya ye gharib 'ajiz'-e-be-watan ye ghubar-e-khatir-e-anjuman ye kharab jis ke liye hua usi bewafa ne bhula diya