nazar nazar be-qarar si hai nafas nafas mein sharar sa hai main jaanta hun ki tum na aaoge phir bhi kuchh intizar sa hai mere azizo mere rafiqo chalo koi dastan chhedo gham-e-zamana ki baat chhodo ye gham to ab sazgar sa hai wahi fasurda sa rang-e-mahfil wahi tera ek aam jalwa meri nigahon mein bar sa tha meri nigahon mein bar sa hai kabhi to aao kabhi to baitho kabhi to dekho kabhi to puchho tumhaari basti mein hum faqiron ka haal kyun sogwar sa hai chalo ki jashn-e-bahaar dekhen chalo ki zarf-e-bahaar jaanchen chaman chaman raushni hui hai kali kali pe nikhaar sa hai ye zulf-bar-dosh kaun aaya ye kis ki aahat se gul khile hain mahak rahi hai faza-e-hasti tamam aalam bahaar sa hai