nind raaton ki mere yar uDati hai ghazal

nind raaton ki mere yar udati hai ghazal
subh tak ek ghazal-go ko jagati hai ghazal

log kahte hain ghazal kahna koi kaam nahin
kya khabar un ko ki kis kaam mein aati hai ghazal

raat jab pas mere koi nahin hota hai
mujh ko sine se laga kar ke sulati hai ghazal

ek misra ki koi sher ata kar ke mujhe
apne chakkar mein kai roz ghumati hai ghazal

thik se gar ye likhi jae padhi jae yahan
ek insan ko insan banati hai ghazal


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close