sunahri nind se kis ne mujhe bedar kar dala daricha khul raha tha khwab mein diwar kar dala nishan honton ka lau dene laga hai zehn mein ab to bil-akhir main ne us ko mishal-e-rukhsar kar dala naqahat aur bala ka husn aur aankhon ki dil-giri ajab bimar tha jis ne mujhe bimar kar dala mere dil se lipatti zulf bhi to dekhta koi sabhi nalan hain main ne shahr kyun mismar kar dala meri utran se apni satar-poshi kar raha hai wo mere tarz-e-ghazal ne kya use nadar kar dala jo khaif the ghazal mein zikr-e-baghdad-o-bukhara se wo khush hon main ne ab zikr-e-lab-o-rukhsar kar dala