surkh sidha sakht nila dur uncha aasman zard suraj ka watan tarik bahta aasman sard chup kali sadak ko raundte phirte charagh dagh dagh apni rida mein sar ko dhunta aasman dur dur udta gaya main nur ke rahwar par phir bhi jab bhi sar uthaya munh pe dekha aasman jaane kab se be-nishan wo chah-e-shab mein gharq tha main jo utha ho gaya ek dam ujala aasman nachta phirta sharar bhi nim shab ki god mein dil-lagi ka ek jatan tha kuchh to khulta aasman