mujhe mila wo bahaaron ki sarkhushi ke sath gul-o-saman se ziyaada shaguftagi ke sath wo raat chashma-e-zulmat par guzari thi wo jab tulua hua mujh pe raushni ke sath agar shuur na ho to bahisht hai duniya bade azab mein guzri hai aagahi ke sath ye ittifaq hain sab rah ki masafat ke chale kisi ke liye ja mile kisi ke sath bura nahin hai magar hasb-e-tishnagi bhi kahan suluk-e-shahd-laban meri tishnagi ke sath faza mein raqs hai 'sahba' hasin parindon ka mujhe bhi hasrat-e-parwaz hai kisi ke sath