mujhe pata tha ki ye hadsa bhi hona tha main us se mil ke na tha khush juda bhi hona tha chalo ki jazba-e-izhaar chikh mein to dhala kisi tarah ise aakhir ada bhi hona tha bana rahi thi ajab chhitr dubti hui sham lahu kahin kahin shamil mera bhi hona tha ajab safar tha ki hum raston se katte gae phir is ke baad hamein lapata bhi hona tha main tere pas chala aaya le ke shikwe-gile kahan khabar thi koi faisla bhi hona tha ghubar ban ke ude tez-rau ki un ke liye to kya zarur koi rasta bhi hona tha sarae par tha dhuan jama sari basti ka kuchh is tarah ki koi saneha bhi hona tha mujhe zara sa guman bhi na tha akela hun ki dushmanon ka kahin samna bhi hona tha