pas-e-ghubar madad mangte hain pani se ye log tang hain mitti ki hukmarani se ye hath sukh ke jhadne ko ho gae lekin main dast-kash na hua teri mehrbani se phir us ke baad phalon mein mithas aai nahin shajar ne kaam liya tha ghalat-bayani se kisi jazire pe shayad khula ye bagh koi mahak gulab ki aati hai bahte pani se main tere wasl ka lamha bacha sakun shayad mera talluq-e-khatir hai raegani se nawah-e-shahr mein phaili hai maut ki khushbu magar ye log ki lagte hain jawedani se tere visal ke mausam mein ustuwar hua koi ajab sa talluq jahan-e-fani se tu mil gaya hai to achchha hua wagarna dost kise gharaz thi mohabbat mein kaamrani se pahunch chuke hain mohabbat mein us jagah hum log jahan yaqin nahin aata yaqin-dahani se