tujhe main milun to kahan milun mera tujh se rabt muhaal hai teri bazm bazm-e-nashat hai meri bazm bazm-e-khayal hai tera dil nahin tere hath mein mujhe dekh main hun girafta-dil mera jabr meri najat hai ye mere hunar ka kamal hai na tu ham-zaban na tu ham-zaman mera tujh se kaisa moamla mera ahd ahd-e-kamal-e-gham tera ahd ahd-e-zawal hai main hun kam-talab tu hai kam-nazar main nawa-e-dil tu hawa-e-dil meri dastaras mein hain kul zaman tu asir-e-lamha-e-haal hai wo hai naqd-e-zar teri aarzu ye hai naqd-e-dil meri aarzu tera naqd rizq-e-haram hai mera naqd rizq-e-halal hai teri justuju meri gumrahi teri intiha meri ibtida teri zist tera jawab hai meri zist mera sawal hai tujhe karobar ko din mila mujhe kahish-e-shab-e-gham mili mujhe khwahish-e-gham-e-agahi tujhe khwahish-e-zar-o-mal hai mujhe sun tarana-e-dard mein mujhe dekh chehra-e-zard mein mujhe dhund gham ki panah mein ki wo mera shamil-e-haal hai main hun 'baqar' aise maqam par nahin kam-nazar ka jahan guzar ye ajib manzil-e-shauq hai ki na hijr hai na visal hai