na baam-o-dasht na dariya na kohsar mile junun ki rah thi haalat sazgar mile labon pe harf-e-shikayat bhi aa ke tut gaya wo khud figar the jo hath sang-bar mile udhar fasil-e-shab-e-gham idhar hai shahr-e-panah saba se kahiyo wahin aa ke ek bar mile ye bebasi to mere ahd ka muqaddar thi dilon ko dagh-e-tamanna bhi mustaar mile hatheliyon pe charagh-e-dua sajae hue mile nigar-e-bahaaran to sharmsar mile koi to rah-e-tamanna mein ham-safar hota koi to ku-e-wafa mein khata-shiar mile mohabbaton se to pahle hi kya tawaqqo thi murawwaton ke bhi daman tar tar mile main kaise apne khadd-o-khal aaj pahchanun jo aaina mile aaluda-e-ghubar mile meri talab ki ye mearaj hai ki ijz 'ada' jidhar se guzrun wahi ek rahguzar mile