tujhe kho kar kisi se pyar hona chahiye tha hamein itna to duniya-dar hona chahiye tha abhi tak khul nahin paya ki teri dastan mein hamara kaun sa kirdar hona chahiye tha kisi ke faisle ko mustarad karne se pahle hamein bhi ghair jaanib-dar hona chahiye tha kahan tak us kinare par rahenge hum ki ab to ye dariya bhi kahin se par hona chahiye tha badalni chahiye thi khak ki tasir 'shahzad' hamare khun ko talwar hona chahiye tha