musalsal thi meri khana-badoshi bahut chubhti rahi khana-badoshi har ek mahfil mein us ko dhundne se mili nazron ko bhi khana-badoshi main ghar mein rah ke bhi ghar mein nahin thi ajab si thi koi khana-badoshi kabhi to aa ke mujh mein jazb ho ja fana kar de meri khana-badoshi bahut kuchh tutta hai pahle andar nahin milti yun hi khana-badoshi main har ek zawiye se sochti hun mujhe kyunkar mili khana-badoshi