mujhe to jam-o-mai-o-gul ka intizar nahin main khud bahaar hun mere liye bahaar nahin huzur-e-ishq agar husn be-qarar nahin shab-e-firaq koi lutf-e-intizar nahin ba-qadr-e-zarf diya jam sab ko saqi ne ye baat wo hai hamein jis ka eatibar nahin main aap apni hi manzil ka khizr-e-manzil hun junun mein koi bhi mera sharik-e-kar nahin hayat-o-maut pe hum tabsire karen kaise hayat-o-maut pe jab koi ikhtiyar nahin hujum-o-yas ke aalam mein dard-e-furqat mein ba-juz tumhaare koi aur raazdar nahin tilism-e-zist ne kuchh aise gul khilae hain ki ab nazar mein koi qimat-e-bahaar nahin jo dard bakhsha hai tum ne usi pe nazan hain mata-e-zist nahin fikr-e-rozgar nahin