na dosti ki tarah hai na dushmani ki tarah ye iltifat tumhaara hai ajnabi ki tarah wahi to lamhe mata-e-hayat hote hain ghamon ke sae mein palte hain jo khushi ki tarah jala sake to jala soz-e-ishq yun mujh ko ki kaenat pe chha jaun raushni ki tarah ye kis maqam pe pahuncha hai karwan-e-hayat jahan khudi ka bhi aalam hai be-khudi ki tarah nazar mein un ka tasawwur hai jam hathon mein hamari baada-parasti hai bandagi ki tarah wo hans pade meri wahshat pe yun sar-e-mahfil har ek zakhm-e-jigar khil gaya kali ki tarah zarur 'dard' koi mah-wash hai gulshan mein saba ne phul khilae hain chandni ki tarah