mujhe wo chhod kar jab se gaya hai intiha hai rag-o-pai mein faza-e-karbala hai intiha hai mere haalat hain naraaz is pe kya karun main gurezan aasmanon se dua hai intiha hai gham o aalam hain ya hasraten hain zindagi mein tumhaare baad baqi kya bacha hai intiha hai faqat tum hi nahin naraaz mujh se jaan-e-jaanan mere andar ka insan tak khafa hai intiha hai kahin manzar asalib-e-hawas ke chaar-su hain kahin pe khun-aluda faza hai intiha hai khamoshi tod de ai khaliq-e-arz-o-sama ab teri makhluq ban baithi khuda hai intiha hai ghazal jo tum pe 'tahir' ne likhi thi jaan-e-'tahir' wahi to zinat-e-baam-e-baqa hai intiha hai