gae mausam mein jo khilte the gulabon ki tarah dil pe utrenge wahi khwab azabon ki tarah rakh ke dher pe ab raat basar karni hai jal chuke hain mere kheme mere khwabon ki tarah saat-e-did ki aariz hain gulabi ab tak awwalin lamhon ke gulnar hijabon ki tarah wo samundar hai to phir ruh ko shadab kare tishnagi kyun mujhe deta hai sarabon ki tarah ghair-mumkin hai tere ghar ke gulabon ka shumar mere riste hue zakhmon ke hisabon ki tarah yaad to hongi wo baaten tujhe ab bhi lekin shelf mein rakkhi hui band kitabon ki tarah kaun jaane ki nae sal mein tu kis ko padhe tera mear badalta hai nisabon ki tarah shokh ho jati hai ab bhi teri aankhon ki chamak gahe gahe tere dilchasp jawabon ki tarah hijr ki shab meri tanhai pe dastak degi teri khush-bu mere khoe hue khwabon ki tarah