ragon mein meri shararon ka raqs jari hai junun hai ranj hai gham hai ki be-qarari hai dil-e-asir ke zakhmon mein kya nahin maujud wafa hai ishq hai wahshat hai jaan-nisari hai labon pe dasht hai aankhon mein khun ke dhabbe samundaron se magar apni ru-bakari hai ada-e-naz se karta hai zulm wo mujh par use na khauf-e-khuda hai na sharmsari hai hawa mein ghulti hui khushbuon ne farmaya gurez tum se nahin jag se parda-dari hai jise gale se lagaya bana diya suraj bulandiyon se kahin badh ke khaksari hai thirak rahe hain munderon pe mor khwahish ke wo jab se aaya hai dil mein surur tari hai tumhaare chehre se bahta hai nur ka jharna tumhaari zulfon se aalam mein aabiyari hai falak se hoti hai nazil duaon ki tanwir ibaadaton se mera rang-e-ah-o-zari hai qarib aa ke kabhi dekho meri tanhai is intizar ke daman mein kya khumari hai parinde shakh se ek ek kar ke udte gae hamin bache hain hamari bhi ab ke bari hai badan to surat-e-diwar ishtihaar hua zaban pe ishq ke chhaalon ki lala-kari hai dhali hai sham bujhane mein aag suraj ki charagh-e-dard jalane mein shab guzari hai hamare khwab bhatakte hain dasht-o-sahra mein kise bataen ki kya aarzu hamari hai 'nadim' donon jahan us ki dosti pe nisar usi se ranj usi se hi gham-gusari hai